lamhon ka karb
dil-e-afsurda kī
ārzūoñ ke
ramīda lamho
tumhārī be-kaifī ke qāfile
rafta rafta harīm-e-jāñ se guzar rahe haiñ
aur
tumheñ pata hai
ki
āsmāñ kī bulandiyoñ pe pahuñch ke insān
murda ho chukā hai
to phir
kashīd-e-jāñ se
nikāl kar
koī hasīn manzar
qatra qatra
hayāt kī tishnagī ke
is kāsa-e-tahī meñ Daalo
taaki sabāt kī ḳhātir
bhaTke hue be-rūh jism ko
kuchh qarār aa jaa.e
dil-e-afsurda ki
aarzuon ke
ramida lamho
tumhaari be-kaifi ke qafile
rafta rafta harim-e-jaan se guzar rahe hain
aur
tumhein pata hai
ki
aasman ki bulandiyon pe pahunch ke insan
murda ho chuka hai
to phir
kashid-e-jaan se
nikal kar
koi hasin manzar
qatra qatra
hayat ki tishnagi ke
is kasa-e-tahi mein Dalo
taki sabaat ki KHatir
bhaTke hue be-ruh jism ko
kuchh qarar aa jae
- Book : Shahre be Chiragh Mein (Pg. 43)
- Author : Saeed Arifi
- Publication : Pahchan Publications (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.