lamhon ki parastar
maiñ ne chāhā thā use ruuh kī rāhat ke liye
aaj vo jaan kā āzār banī baiThī hai
merī ā.ankhoñ ne jise phuul se nāzuk samjhā
ab vo chaltī huī talvār banī baiThī hai
ham-safar ban ke jise naaz thā hamrāhī par
rahzanoñ kī vo taraf-dār banī baiThī hai
kisī afsāne kā kirdār banī baiThī hai
us kī ma.asūmiyat-e-dil pe bharosa thā mujhe
azm-e-sītā kī qasam ismat-e-maryam kī qasam
yaad haiñ us ke vo hañste hue aañsū mujh ko
ḳhanda-e-gul kī qasam girya-e-shabnam kī qasam
us ne jo kuchh bhī kahā maiñ ne vahī maan liyā
hukm-e-havvā kī qasam jazba-e-ādam kī qasam
paak thī ruuh mirī chashma-e-zamzam kī qasam
maiñ ne chāhā thā use dil meñ chhupā luuñ aise
jism meñ jaise lahū siip meñ jaise motī
umr bhar maiñ na jhapaktā kabhī apnī āñhkeñ
mere zānūñ pe vo sar rakh ke hamesha sotī
sham-e-yak-shab to samajhtā hai use ek jahāñ
kaash ho jaatī vo mere liye jīvan-jotī
dar-ba-dar us kī tamāzat na pareshāñ hotī
maiñ use le ke bahut duur nikal jā.ūñ magar
vo mirī raah meñ dīvār banī baiThī hai
zindagī bhar kī parastish use manzūr nahīñ
vo to lamhoñ kī parastār banī baiThī hai
maiñ ne chāhā thā use ruuh kī rāhat ke liye
vo magar jaan kā āzār banī baiThī hai
kisī afsāne kā kirdār banī baiThī hai
main ne chaha tha use ruh ki rahat ke liye
aaj wo jaan ka aazar bani baiThi hai
meri aaankhon ne jise phul se nazuk samjha
ab wo chalti hui talwar bani baiThi hai
ham-safar ban ke jise naz tha hamrahi par
rahzanon ki wo taraf-dar bani baiThi hai
kisi afsane ka kirdar bani baiThi hai
us ki masumiyat-e-dil pe bharosa tha mujhe
azm-e-sita ki qasam ismat-e-maryam ki qasam
yaad hain us ke wo hanste hue aansu mujh ko
KHanda-e-gul ki qasam girya-e-shabnam ki qasam
us ne jo kuchh bhi kaha main ne wahi man liya
hukm-e-hawwa ki qasam jazba-e-adam ki qasam
pak thi ruh meri chashma-e-zamzam ki qasam
main ne chaha tha use dil mein chhupa lun aise
jism mein jaise lahu sip mein jaise moti
umr bhar main na jhapakta kabhi apni aanhken
mere zanun pe wo sar rakh ke hamesha soti
sham-e-yak-shab to samajhta hai use ek jahan
kash ho jati wo mere liye jiwan-joti
dar-ba-dar us ki tamazat na pareshan hoti
main use le ke bahut dur nikal jaun magar
wo meri rah mein diwar bani baiThi hai
zindagi bhar ki parastish use manzur nahin
wo to lamhon ki parastar bani baiThi hai
main ne chaha tha use ruh ki rahat ke liye
wo magar jaan ka aazar bani baiThi hai
kisi afsane ka kirdar bani baiThi hai
- Book : kalam-e-qateel shifai (Pg. 282)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.