lams-e-aKHiri
na rovo jabr kā aadī huuñ mujh pe rahm karo
tumheñ qasam mirī vārafta zindagī kī qasam
na rovo baal bikhero na tum ḳhudā ke liye
añdherī raat meñ jugnū kī raushnī kī qasam
maiñ kah rahā huuñ na rovo ki mujh ko hosh nahīñ
yahī to ḳhauf hai aañsū mujhe bahā deñge
maiñ jāntā huuñ ki ye sail bhī sharāre haiñ
mirī hayāt kī har aarzū jalā deñge
na itnā rovo ye qindīl bujh na jaa.e kahīñ
ise ḳhud apnā lahū de ke maiñ jalātā huuñ
jo ham ne mil ke uThā.e the vo mahal baiThe
ab apne haath se miTTī kā ghar banātā huuñ
tumhāre vāste shabnam nichoḌ saktā huuñ
zar o javāhir o gauhar kahāñ se lā.ūñ maiñ
tumhāre husn ko ash.ār meñ sajā dūñgā
tumhāre vāste zevar kahāñ se lā.ūñ maiñ
hasīn mez subuk jaam qīmtī fānūs
mujhe ye shak hai maiñ kuchh bhī to de nahīñ saktā
ġhulām aur ye shā.er kā jazba-e-āzād
maiñ apne sar pe ye ehsān le nahīñ saktā
mujhe yaqīn hai tum mujh ko muaaf kar dogī
ki ham ne saath jalā.e the zindagī ke kañval
ab is ko kyā karūñ dushman kī jiit ho jaa.e
hamāre sar pe baras jaa.e yaas kā bādal
na rovo dekho mirī saañs thartharātī hai
qarīb aao maiñ aañsū to poñchh kar dekhūñ
suno to soī huī zindagī bhī chīḳh uTThe
qarīb aao vahī baat kaan meñ kah duuñ
na rovo merī siyah-baḳhtiyoñ pe mat rovo
tumheñ qasam mirī āshufta-ḳhātirī kī qasam
miTā do āriz-e-tābāñ ke bad-numā dhabbe
tumhāre hoñToñ pe us lams-e-āḳhirī kī qasam
na rowo jabr ka aadi hun mujh pe rahm karo
tumhein qasam meri warafta zindagi ki qasam
na rowo baal bikhero na tum KHuda ke liye
andheri raat mein jugnu ki raushni ki qasam
main kah raha hun na rowo ki mujh ko hosh nahin
yahi to KHauf hai aansu mujhe baha denge
main jaanta hun ki ye sail bhi sharare hain
meri hayat ki har aarzu jala denge
na itna rowo ye qindil bujh na jae kahin
ise KHud apna lahu de ke main jalata hun
jo hum ne mil ke uThae the wo mahal baiThe
ab apne hath se miTTi ka ghar banata hun
tumhaare waste shabnam nichoD sakta hun
zar o jawahir o gauhar kahan se laun main
tumhaare husn ko ashaar mein saja dunga
tumhaare waste zewar kahan se laun main
hasin mez subuk jam qimti fanus
mujhe ye shak hai main kuchh bhi to de nahin sakta
ghulam aur ye shaer ka jazba-e-azad
main apne sar pe ye ehsan le nahin sakta
mujhe yaqin hai tum mujh ko muaf kar dogi
ki hum ne sath jalae the zindagi ke kanwal
ab is ko kya karun dushman ki jit ho jae
hamare sar pe baras jae yas ka baadal
na rowo dekho meri sans thartharaati hai
qarib aao main aansu to ponchh kar dekhun
suno to soi hui zindagi bhi chiKH uTThe
qarib aao wahi baat kan mein kah dun
na rowo meri siyah-baKHtiyon pe mat rowo
tumhein qasam meri aashufta-KHatiri ki qasam
miTa do aariz-e-taban ke bad-numa dhabbe
tumhaare honTon pe us lams-e-aKHiri ki qasam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.