duur sunsān se sāhil ke qarīb
ek javāñ peḌ ke paas
umr ke dard liye, vaqt kā maTiyālā dushāla oḌhe
būḌhā sā paam kā ik peḌ, khaḌā hai kab se
saikḌoñ sāloñ kī tanhā.ī ke ba.ad
jhuk ke kahtā hai javāñ peḌ se ''yār!
sard sannāTā hai!
tanhā.ī hai! kuchh baat karo!''
dur sunsan se sahil ke qarib
ek jawan peD ke pas
umr ke dard liye, waqt ka maTiyala dushaala oDhe
buDha sa pam ka ek peD, khaDa hai kab se
saikDon salon ki tanhai ke baad
jhuk ke kahta hai jawan peD se yar!
sard sannaTa hai!
tanhai hai! kuchh baat karo!
- Book : Chand Pukhraj Ka (Pg. 4)
- Author : Gulzar
- Publication : Roopa And Company (1995)
- Edition : 1995
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.