Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

urdu zaban

MORE BYHabeeb Ahmad Anjum Datiavi

    urdu hamāre desh shīrīñ zabān hai

    tahzīb hai vaz.a sharāfat jaan hai

    ta.alīm-o-tarbiyat meñ aham is hai maqām

    sher-o-suḳhan ruuh adab ye jaan hai

    chhoḌā hai jab se is ko talaffuz bigaḌ gayā

    ye har zabāñ juzv-e-bayāñ aur shaan hai

    paidā huī ye hind meñ parvān bhī chaḌhī

    phir kis liye kaho ye videshī zabān hai

    maqbūl-e-ām bhī hai ye har-dil-azīz bhī

    sach baat to ye hai ki ye sab zabān hai

    ham is ke zauq se hue afsos munharif

    āzādī tahrīk urdu jaan hai

    āzād hind meñ na milā is ko kuchh maqām

    ye māder-e-vatan ke shahīdoñ jaan hai

    hālāñki rozgār zarīya nahīñ rahī

    urdu paḌho paḌhāo ye apnī zabān hai

    urdu hamare desh ki shirin zaban hai

    tahzib ki hai waza sharafat ki jaan hai

    talim-o-tarbiyat mein aham is ka hai maqam

    sher-o-suKHan ki ruh adab ki ye jaan hai

    chhoDa hai jab se is ko talaffuz bigaD gaya

    ye har zaban ka juzw-e-bayan aur shan hai

    paida hui ye hind mein parwan bhi chaDhi

    phir kis liye kaho ye wideshi zaban hai

    maqbul-e-am bhi hai ye har-dil-aziz bhi

    sach baat to ye hai ki ye sab ki zaban hai

    hum is ke zauq se hue afsos munharif

    aazadi ki tahrik ki urdu hi jaan hai

    aazad hind mein na mila is ko kuchh maqam

    ye mader-e-watan ke shahidon ki jaan hai

    haalanki rozgar ka zariya nahin rahi

    urdu paDho paDhao ye apni zaban hai

    Source :

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now