larazta dip
duur shab kā sard haat
āsmāñ ke ḳhema-e-zañgār kī
āḳhirī qindīl gul karne baḌhā
aur komal chāñdnī
ek dar-basta gharauñde se pare
muzmahil peḌoñ pe gir kar bujh ga.ī
be-nishāñ saa.e kī dhīmī chaap par
aoñgte raste ke har zarre ne pal bhar ke liye
apnī palkoñ kī bujhī darzoñ se jhāñkā
aur āñkheñ muuñd leñ
us samay tāq-e-shikasta par larazte diip se
maiñ ne pūchhā
ham-nafas
ab tire bujhne meñ kitnī der hai?
dur shab ka sard hat
aasman ke KHema-e-zangar ki
aaKHiri qindil gul karne baDha
aur komal chandni
ek dar-basta gharaunde se pare
muzmahil peDon pe gir kar bujh gai
be-nishan sae ki dhimi chap par
aongte raste ke har zarre ne pal bhar ke liye
apni palkon ki bujhi darzon se jhanka
aur aankhen mund len
us samay taq-e-shikasta par larazte dip se
main ne puchha
ham-nafas
ab tere bujhne mein kitni der hai?
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.