latifa
ik shaah aur ik shāhzāda
ghar se pahne hue labāda
jangal ko chale shikār karne
chītal pe hiran pe vaar karne
garmī jo baḌhī utaar Daale
vo garm libāde uun vaale
ik masḳharā bhī thā saath un ke
aayā thā kahīñ se haath un ke
kāñdhe pe ye us ke Daal kar vo
kahne lage dekh-bhāl kar vo
ab bojh hai tum pe ik gad.he kā
sunte hī vo masḳharā ye bolā
ye baat nahīñ huzūr-e-vālā
hai bojh ye mujh pe do gadhoñ kā
ek shah aur ek shahzada
ghar se pahne hue labaada
jangal ko chale shikar karne
chital pe hiran pe war karne
garmi jo baDhi utar Dale
wo garm libaade un wale
ek masKHara bhi tha sath un ke
aaya tha kahin se hath un ke
kandhe pe ye us ke Dal kar wo
kahne lage dekh-bhaal kar wo
ab bojh hai tum pe ek gadhe ka
sunte hi wo masKHara ye bola
ye baat nahin huzur-e-wala
hai bojh ye mujh pe do gadhon ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.