lauh-e-ayyam
aqā.ed kirm-ḳhurda
ḳhatt-e-nā-mālūm meñ likkhī kitāboñ meñ
kahīñ mahfūz haiñ
ma.alūm kī buniyād nā-mālūm par
ik maz.haka
ye silsila mansūḳh kab hogā
maiñ jo kuchh māntā huuñ jāntā hogā
mujhe ye jānñā hogā
ki maiñ ik din
darūn-e-qabr, zer-e-ḳhāk
ḳhāk-e-sard o nā-hamvār meñ so jā.ūñgā
aur mere chehre hoñToñ āñkhoñ meñ
chaleñgī chyūñTiyāñ raste banā deñgī
huā thā rūnumā jis se mujhe us meñ milā deñgī
mujhe ye jānñā hogā
ki ik din maiñ nahīñ hūñgā
magar ye roz o shab
ye shādī o ġham
dasht dariyā koh
aur ye zindagī kā shor-e-bā-taġh.īr sab baaqī rahegā
haañ mujhe ye jānñā hogā
ki garche maiñ nahīñ hūñgā
ye merā haq-o-nā-haq
sabt hotā jā rahā hai
aur sadā baaqī rahegā
aqaed kirm-KHurda
KHatt-e-na-malum mein likkhi kitabon mein
kahin mahfuz hain
malum ki buniyaad na-malum par
ek mazhaka
ye silsila mansuKH kab hoga
main jo kuchh manta hun jaanta hoga
mujhe ye jaanna hoga
ki main ek din
darun-e-qabr, zer-e-KHak
KHak-e-sard o na-hamwar mein so jaunga
aur mere chehre honTon aankhon mein
chalengi chyunTiyan raste bana dengi
hua tha runuma jis se mujhe us mein mila dengi
mujhe ye jaanna hoga
ki ek din main nahin hunga
magar ye roz o shab
ye shadi o gham
dasht dariya koh
aur ye zindagi ka shor-e-ba-taghir sab baqi rahega
han mujhe ye jaanna hoga
ki garche main nahin hunga
ye mera haq-o-na-haq
sabt hota ja raha hai
aur sada baqi rahega
- Book : Kitab Gumrah Kar Rahi Hai (Pg. 103)
- Author :Shahram Sarmadi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.