lauh-e-mazar
Dhal chukā din aur terī qabr par
der se baiThā huā huuñ sar-nigūñ
ruuh par taarī hai ik mub.ham sukūt
ab vo soz-e-ġham na vo sāz-e-junūñ
mustaqil mahsūs hotā hai mujhe
jaise tere saath maiñ bhī dafn huuñ
Dhal chuka din aur teri qabr par
der se baiTha hua hun sar-nigun
ruh par tari hai ek mubham sukut
ab wo soz-e-gham na wo saz-e-junun
mustaqil mahsus hota hai mujhe
jaise tere sath main bhi dafn hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.