lauT aao suno
daraḳhtoñ se pattoñ ke jhaḌne kā mausam bhī hai aur tumhārī 'kañval'
baaġh ke ik kināre pe bikhre hue
sūkhte TūTte zard pattoñ pe chalte hue
nazm ik muḳhtasar likh rahī hai tumhāre liye
us kī āñkhoñ se be-rañg bahte hue
ashk jo laal hone ko the
hijr kā zahr piite hue kāsnī ho ga.e
apnī zaḳhmī sī poroñ se chun kar unheñ
likh rahī hai koī nazm ik muḳhtasar
jis kā unvān hai
lauT aao suno
ki daraḳhtoñ se pattoñ ke jhaḌne kā mausam bhī ab jā rahā hai bahāroñ kī raah dekhte
aur tumhārī 'kañval' pattī pattī bikharte hue
rāste se yuuñ lag kar baḌī der se
rāsta dekhte ab bahut thak ga.ī
lauT aao suno
daraKHton se patton ke jhaDne ka mausam bhi hai aur tumhaari 'kanwal'
bagh ke ek kinare pe bikhre hue
sukhte TuTte zard patton pe chalte hue
nazm ek muKHtasar likh rahi hai tumhaare liye
us ki aankhon se be-rang bahte hue
ashk jo lal hone ko the
hijr ka zahr pite hue kasni ho gae
apni zaKHmi si poron se chun kar unhen
likh rahi hai koi nazm ek muKHtasar
jis ka unwan hai
lauT aao suno
ki daraKHton se patton ke jhaDne ka mausam bhi ab ja raha hai bahaaron ki rah dekhte
aur tumhaari 'kanwal' patti patti bikharte hue
raste se yun lag kar baDi der se
rasta dekhte ab bahut thak gai
lauT aao suno
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.