lauT chaliye
soḳhta-jāñ soḳhta-dil
soḳhta rūhoñ ke ghar meñ
raakh gard-e-ātishīñ sholoñ ke saa.e
naqsh haiñ dīvāroñ par mafrūq chehre
lauT chaliye apne sab armān le kar
jhuuT hai guzrā zamāna
aur kisī ujḌe qabīle kī bhaTaktī ruuh shāyad
apne mustaqbil kā dhundlā sā tasavvur
bahr-e-ġham ke darmiyāñ hai
ek kaale koh kī mānind ye imroz apnā
koh jis par raqs karte haiñ sitam-ḳhurda tamannāoñ ke aaseb
lauT chaliye
apne sab armān le kar
sochiye to
yuuñ abas ātish-kadoñ meñ kyuuñ jaleñ dil
kyuuñ raheñ har vaqt sīnoñ par chaTāneñ
dekhiye to
chand luqme kuchh kitābeñ
ek bistar ek aurat
aur kirā.e kā ye ḳhālī tañg kamrā
aaj apnī ziist kā markaz haiñ lekin
tīrgī kā ġham inheñ bhī khā rahā hai
chaar jānib zahr phailā jā rahā hai
lauT chaliye
apne sab armān le kar
apne sab paimān le kar
jism le kar jaan le kar
soKHta-jaan soKHta-dil
soKHta ruhon ke ghar mein
rakh gard-e-atishin sholon ke sae
naqsh hain diwaron par mafruq chehre
lauT chaliye apne sab arman le kar
jhuT hai guzra zamana
aur kisi ujDe qabile ki bhaTakti ruh shayad
apne mustaqbil ka dhundla sa tasawwur
bahr-e-gham ke darmiyan hai
ek kale koh ki manind ye imroz apna
koh jis par raqs karte hain sitam-KHurda tamannaon ke aaseb
lauT chaliye
apne sab arman le kar
sochiye to
yun abas aatish-kadon mein kyun jalen dil
kyun rahen har waqt sinon par chaTanen
dekhiye to
chand luqme kuchh kitaben
ek bistar ek aurat
aur kirae ka ye KHali tang kamra
aaj apni zist ka markaz hain lekin
tirgi ka gham inhen bhi kha raha hai
chaar jaanib zahr phaila ja raha hai
lauT chaliye
apne sab arman le kar
apne sab paiman le kar
jism le kar jaan le kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.