laxman-rekha
tum kahoge din to maiñ bhī din kahūñgā
ho balā se raat aadhī
maiñ kahūñgā raat
tum sūraj chamaktā ho to us ko chāñd samjhoge
tumhārī aañkh meñ aañsū nazar ā.eñge jab
maiñ ta.aziyat ke reshmī rūmāl se pūchhūñgā un ko
muskurā.ūñ maiñ
to tum is ko gul-afshānī kahoge
aur dhoke se kahīñ maiñ
shab ko shab kah duuñ
kahīñ tum din ko din kah kar mujhe sūraj dikhā do
nazar aa.e agar mujh ko
tumhārī aañkh ke aañsū magarmachh ke se aañsū
mire hañsne ke pīchhe jhāñktī mahrūmiyāñ tum ko nazar aa jaa.eñ
to samjho ki ham
ik dūsre ke jism meñ poshīda shaitānoñ se
vāqif ho ga.e haiñ
rāvanoñ meñ sulh-jūī ke liye
behad zarūrī chiiz hai,
laxman kī rekhā
tum kahoge din to main bhi din kahunga
ho bala se raat aadhi
main kahunga raat
tum suraj chamakta ho to us ko chand samjhoge
tumhaari aankh mein aansu nazar aaenge jab
main taziyat ke reshmi rumal se puchhunga un ko
muskuraun main
to tum is ko gul-afshani kahoge
aur dhoke se kahin main
shab ko shab kah dun
kahin tum din ko din kah kar mujhe suraj dikha do
nazar aae agar mujh ko
tumhaari aankh ke aansu magarmachh ke se aansu
mere hansne ke pichhe jhankti mahrumiyan tum ko nazar aa jaen
to samjho ki hum
ek dusre ke jism mein poshida shaitanon se
waqif ho gae hain
rawanon mein sulh-jui ke liye
behad zaruri chiz hai,
laxman ki rekha
- Book : aazaadii ke baad delhi men urdu nazm (Pg. 334)
- Author : ateequllah
- Publication : urdu academy (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.