Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

lazzat-e-irfan

Ze Khe Sheen

lazzat-e-irfan

Ze Khe Sheen

MORE BYZe Khe Sheen

    rañg-e-fitrat hai vaj.h-e-hairānī

    aql hai aur hayā-e-nādānī

    rāz-dāñ mudda.ā ko kahte haiñ

    husn ulfat dāġh-e-peshānī

    husn-e-bāqī ne dil ko khīñch liyā

    ruḳhsat ai husn-e-hastī-e-fānī

    dil hai vaqf-e-rajā-e-rahm-o-karam

    jaañ hai nazr-e-razā-e-rabbānī

    ab maiñ samjhī ki hai fanā-e-ḳhudī

    imbisāt-e-bahisht-e-lāfānī

    ġham na kar hai naqīb-e-abr-e-bahār

    ḳhushkī-e-mausam-e-zamistānī

    dil-e-sad-pāra ke alam gin luuñ

    dekhī jā.egī sub.ha-gardānī

    kar sake tai na mulk-e-irfāñ ko

    ruumī o maġhribī o kirmānī

    dūrū-e-bazm-e-dost ke ġham meñ

    mahv-e-afġhāñ hai ik afġhānī

    arsh ke kañgare pe tā.ir-e-quds

    raat kartā thā yuuñ ḳhush-ilhānī

    ki hai insāñ tilism-e-shān-e-ḳhudā

    qadr apnī na is ne pahchānī

    band kiiñ us ne jab zarā āñkheñ

    khul gayā rāz-e-bazm-e-imkānī

    chāra-e-rūh falsafī hai na shaiḳh

    ek vahmī hai ek ḳhafaqānī

    kasrat-e-īn-o-āñ meñ vahdat-e-dost

    kunj-e-nāyāb farāvānī

    shaiḳh rañj-e-bayāñ Dar na kare

    lā-bayāñ hai ye kaif-e-vajdānī

    mutashakkik hai aur shikāyat-e-hijr

    nuzhat aur shukr-e-lutf-e-pinhānī

    rang-e-fitrat hai wajh-e-hairani

    aql hai aur haya-e-nadani

    raaz-dan muddaa ko kahte hain

    husn ulfat ka dagh-e-peshani

    husn-e-baqi ne dil ko khinch liya

    ruKHsat ai husn-e-hasti-e-fani

    dil hai waqf-e-raja-e-rahm-o-karam

    jaan hai nazr-e-raza-e-rabbani

    ab main samjhi ki hai fana-e-KHudi

    imbisat-e-bahisht-e-lafani

    gham na kar hai naqib-e-abr-e-bahaar

    KHushki-e-mausam-e-zamistani

    dil-e-sad-para ke alam gin lun

    dekhi jaegi subha-gardani

    kar sake tai na mulk-e-irfan ko

    rumi o maghribi o kirmani

    duru-e-bazm-e-dost ke gham mein

    mahw-e-afghan hai ek afghani

    arsh ke kangare pe tair-e-quds

    raat karta tha yun KHush-ilhani

    ki hai insan tilism-e-shan-e-KHuda

    qadr apni na is ne pahchani

    band kin us ne jab zara aankhen

    khul gaya raaz-e-bazm-e-imkani

    chaara-e-ruh falsafi hai na shaiKH

    ek wahmi hai ek KHafaqani

    kasrat-e-in-o-an mein wahdat-e-dost

    kunj-e-nayab ki farawani

    shaiKH ranj-e-bayan ka Dar na kare

    la-bayan hai ye kaif-e-wajdani

    mutashakkik hai aur shikayat-e-hijr

    nuzhat aur shukr-e-lutf-e-pinhani

    RECITATIONS

    Azra Naqvi

    Azra Naqvi,

    Azra Naqvi

    lazzat-e-irfan Azra Naqvi

    Source :
    • Book : Jadeed Shora-e-Urdu (Pg. 936)
    • Author : Dr. Abdul Wahid
    • Publication : Feroz sons Printers Publishers and Stationers
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now