leader
leader ko agar aap kabhī DhūñDhnā chāheñ
vo pichhle pahar hujra-e-dilbar meñ milegā
aur sub.h ko vo banda-e-aġhrāz-o-maqāsid
sar ḳham kiye darbār-e-minister meñ milegā
aur din ko vo jantā ko charā-gāh kā bhaiñsā
chartā huā permit kisī daftar meñ milegā
aur shaam ko ahbāb ke paisoñ keī badaulat
hotel meñ kahīñ yā kisī picture meñ milegā
aur raat ko hāthoñ meñ liye bhaat keī thālī
biivī se jhagaḌtā huā vo ghar meñ milegā
leader ko agar aap kabhi DhunDhna chahen
wo pichhle pahar hujra-e-dilbar mein milega
aur subh ko wo banda-e-aghraaz-o-maqasid
sar KHam kiye darbar-e-minister mein milega
aur din ko wo janta ko chara-gah ka bhainsa
charta hua permit kisi daftar mein milega
aur sham ko ahbab ke paison kei badaulat
hotel mein kahin ya kisi picture mein milega
aur raat ko hathon mein liye bhat kei thaali
biwi se jhagaDta hua wo ghar mein milega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.