lekin
ab ḳhudā ko bhī zarā ārām karnā chāhiye
ik zamāne se musalsal kar rahā hai
tiin shifteñ
aur duniyā-bhar ke tyauhāroñ pe bhī
mil nahīñ paa.ī kabhī ruḳhsat use
haftā-vārī ya.anī vo jo the and pe ek chhuTTī
saarī duniyā meñ hī dī jaatī hai ab
us kī vo chhuTTī azal se band hai
saiñkaḌoñ bīmāriyoñ meñ
kaam karte hī use paayā hai maiñ ne
na to beTā hai kisī kā aur na baap
koī risht-e-dār bhī us kā nahīñ
love-affair yā kisī shādī kā koī zikr bhī aayā nahīñ
phir bhī us ko ek ḳhilqat
ek baap
par ye aisā baap hai
beTe ko maslūb hone se bachā paayā nahīñ
na to aatā hai na jaatā hai kahīñ
is liye sālāna ruḳhsat bhī nahīñ miltī use
yuuñ bhī būḌhā ho chukā hai
kaam us se le liye jaa.eñ to ik din
boriyat ke bojh meñ dab kar kahīñ mar jā.egā
ab KHuda ko bhi zara aaram karna chahiye
ek zamane se musalsal kar raha hai
tin shiften
aur duniya-bhar ke tyauhaaron pe bhi
mil nahin pai kabhi ruKHsat use
hafta-wari yani wo jo the and pe ek chhuTTi
sari duniya mein hi di jati hai ab
us ki wo chhuTTi azal se band hai
sainkaDon bimariyon mein
kaam karte hi use paya hai main ne
na to beTa hai kisi ka aur na bap
koi risht-e-dar bhi us ka nahin
lowe-affair ya kisi shadi ka koi zikr bhi aaya nahin
phir bhi us ko ek KHilqat
ek bap
par ye aisa bap hai
beTe ko maslub hone se bacha paya nahin
na to aata hai na jata hai kahin
is liye salana ruKHsat bhi nahin milti use
yun bhi buDha ho chuka hai
kaam us se le liye jaen to ek din
boriyat ke bojh mein dab kar kahin mar jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.