lekin baDi der ho chuki thi
is umr ke ba.ad us ko dekhā!
āñkhoñ meñ savāl the hazāroñ
hoñToñ pe magar vahī tabassum!
chehre pe likhī huī udāsī
lahje meñ magar balā kā Thahrāo
āvāz meñ gūñjtī judā.ī
bāñheñ thiiñ magar visāl-e-sāmāñ!
simTī huī us ke bāzuoñ meñ
tā-der maiñ sochtī rahī thī
kis abr-e-gurez-pā kī ḳhātir
maiñ kaise shajar se kaT ga.ī thī
kis chhāñv ko tark kar diyā thā
maiñ us ke gale lagī huī thī
vo poñchh rahā thā mire aañsū
lekin baḌī der ho chukī thii!
is umr ke baad us ko dekha!
aankhon mein sawal the hazaron
honTon pe magar wahi tabassum!
chehre pe likhi hui udasi
lahje mein magar bala ka Thahrao
aawaz mein gunjti judai
banhen thin magar visal-e-saman!
simTi hui us ke bazuon mein
ta-der main sochti rahi thi
kis abr-e-gurez-pa ki KHatir
main kaise shajar se kaT gai thi
kis chhanw ko tark kar diya tha
main us ke gale lagi hui thi
wo ponchh raha tha mere aansu
lekin baDi der ho chuki thi!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.