lekin
pahlī bārish jaisā terā chehra thā
dil patthar kī har har darz meñ
koī koñpal phuuT ga.ī thī
ik ik rekh kā haath pakaḌ ke
terī yaad kī bel badan par phail rahī thī
aur phuvār paḌī phir ik din
tan chunarī kī silvaT silvaT
zahr aur numū kī kaahī rangat rachī huī thī
naḳhl-e-dār pe baur aane kā mausam bhī thā
dillī kī galiyoñ meñ us din
'mīr' naam ke saudā.ī kā mātam bhī thā
ghar meñ bahār aa.ī to 'ġhālib'
zaat ke kisī bayābān meñ thā
dast-e-sabā ne dastak dī to
'faiz' abhī tak
ġham-e-jahāñ ke zindāñ meñ thā
pahli barish jaisa tera chehra tha
dil patthar ki har har darz mein
koi konpal phuT gai thi
ek ek rekh ka hath pakaD ke
teri yaad ki bel badan par phail rahi thi
aur phuwar paDi phir ek din
tan chunari ki silwaT silwaT
zahr aur numu ki kahi rangat rachi hui thi
naKHl-e-dar pe baur aane ka mausam bhi tha
dilli ki galiyon mein us din
'mir' nam ke saudai ka matam bhi tha
ghar mein bahaar aai to 'ghaalib'
zat ke kisi bayaban mein tha
dast-e-saba ne dastak di to
'faiz' abhi tak
gham-e-jahan ke zindan mein tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.