lekin
tum ne thāmā haath jo merā
maiñ ne samjhā apne dil kī saarī bāteñ
bas ab tum se kah Dālūñgī
aur tumhāre siine lag kar
apne saare ġham ro lūñgī
lekin tum bhī hañste chehre ke dīvāne
sach hai ab ham apnī apnī duniyāoñ meñ gum rahte haiñ
ye bhī sach ham donoñ bilkul tanhā jiinā siikh ga.e haiñ
sach hai chāhat kī vo bāteñ
donoñ hī ko yaad nahīñ haiñ
ye bhī sach tajdīd-e-vafā ab
nā-mumkin hai
sab kuchh sach hai
lekin tum se aañkh milāte dil Dartā hai
tum ne thama hath jo mera
main ne samjha apne dil ki sari baaten
bas ab tum se kah Dalungi
aur tumhaare sine lag kar
apne sare gham ro lungi
lekin tum bhi hanste chehre ke diwane
sach hai ab hum apni apni duniyaon mein gum rahte hain
ye bhi sach hum donon bilkul tanha jina sikh gae hain
sach hai chahat ki wo baaten
donon hi ko yaad nahin hain
ye bhi sach tajdid-e-wafa ab
na-mumkin hai
sab kuchh sach hai
lekin tum se aankh milate dil Darta hai
- Book : Dil Kay Ufuq Par (Pg. 176)
- Author : Ambareen Haseeb Amber
- Publication : Kitab Market ,Office 17 Urdu Bazar, Karachi, Pakistan (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.