ai anfus o āfāq meñ paidā tirī āyāt
haq ye hai ki hai zinda o pā.inda tirī zaat
maiñ kaise samajhtā ki tū hai yā ki nahīñ hai
har dam mutaġhayyar the ḳhirad ke nazriyāt
mahram nahīñ fitrat ke surūd-e-azlī se
bīnā-e-kavākib ho ki dānā-e-nabātāt
aaj aañkh ne dekhā to vo 'ālam huā sābit
maiñ jis ko samajhtā thā kalīsā ke ḳhurāfāt
ham band-e-shab-o-roz meñ jakḌe hue bande
tū ḳhāliq-e-āsār-o-nigāranda-e-ānāt
ik baat agar mujh ko ijāzat ho to pūchhūñ
hal kar na sake jis ko hakīmoñ ke maqālāt
jab tak maiñ jiyā ḳhema-e-aflāk ke nīche
kāñTe kī tarah dil meñ khaTaktī rahī ye baat
guftār ke uslūb pe qaabū nahīñ rahtā
jab ruuh ke andar mutalātum hoñ ḳhayālāt
vo kaun sā aadam hai ki tū jis kā hai mā'būd
vo ādam-e-ḳhākī ki jo hai zer-e-samāvāt
mashriq ke ḳhudāvand safedān-e-rañgī
maġhrib ke ḳhudāvand daraḳhshanda filizzāt
europe meñ bahut raushni-e-ilm-o-hunar hai
haq ye hai ki be-chashma-e-haivāñ hai ye zulmāt
rāñā.i-e-tāmīr meñ raunaq meñ safā meñ
girjoñ se kahīñ baḌh ke haiñ bankoñ kī imārāt
zāhir meñ tijārat hai haqīqat meñ juā hai
suud ek kā lākhoñ ke liye marg-e-mufājāt
ye 'ilm ye hikmat ye tadabbur ye hukūmat
piite haiñ lahū dete haiñ tālīm-e-musāvāt
bekārī o 'uryānī o mai-ḳhvārī o iflās
kyā kam haiñ farañgī madniyat kī futūhāt
vo qaum ki faizān-e-samāvī se ho mahrūm
had us ke kamālāt kī hai barq o buḳhārāt
hai dil ke liye maut mashīnoñ kī hukūmat
ehsās-e-muravvat ko kuchal dete haiñ ālāt
āsār to kuchh kuchh nazar aate haiñ ki āḳhir
tadbīr ko taqdīr ke shātir ne kiyā maat
mai-ḳhāna kī buniyād meñ aayā hai tazalzul
baiThe haiñ isī fikr meñ pīrān-e-ḳharābāt
chehroñ pe jo surḳhī nazar aatī hai sar-e-shām
yā ġhāza hai yā sāġhar o miinā kī karāmāt
tū qādir o 'ādil hai magar tere jahāñ meñ
haiñ talḳh bahut banda-e-mazdūr ke auqāt
kab Dūbegā sarmāya-parastī kā safīna
duniyā hai tirī muntazir-e-roz-e-mukāfāt
ai anfus o aafaq mein paida teri aayat
haq ye hai ki hai zinda o painda teri zat
main kaise samajhta ki tu hai ya ki nahin hai
har dam mutaghayyar the KHirad ke nazriyat
mahram nahin fitrat ke surud-e-azli se
bina-e-kawakib ho ki dana-e-nabaatat
aaj aankh ne dekha to wo 'alam hua sabit
main jis ko samajhta tha kalisa ke KHurafat
hum band-e-shab-o-roz mein jakDe hue bande
tu KHaliq-e-asar-o-nigaranda-e-anat
ek baat agar mujh ko ijazat ho to puchhun
hal kar na sake jis ko hakimon ke maqalat
jab tak main jiya KHema-e-aflak ke niche
kanTe ki tarah dil mein khaTakti rahi ye baat
guftar ke uslub pe qabu nahin rahta
jab ruh ke andar mutalatum hon KHayalat
wo kaun sa aadam hai ki tu jis ka hai ma'bud
wo aadam-e-KHaki ki jo hai zer-e-samawat
mashriq ke KHudawand safedan-e-rangi
maghrib ke KHudawand daraKHshanda filizzat
europe mein bahut raushni-e-ilm-o-hunar hai
haq ye hai ki be-chashma-e-haiwan hai ye zulmat
ranai-e-tamir mein raunaq mein safa mein
girjon se kahin baDh ke hain bankon ki imaraat
zahir mein tijarat hai haqiqat mein jua hai
sud ek ka lakhon ke liye marg-e-mufajat
ye 'ilm ye hikmat ye tadabbur ye hukumat
pite hain lahu dete hain talim-e-musawat
bekari o 'uryani o mai-KHwari o iflas
kya kam hain farangi madniyat ki futuhat
wo qaum ki faizan-e-samawi se ho mahrum
had us ke kamalat ki hai barq o buKHaraat
hai dil ke liye maut mashinon ki hukumat
ehsas-e-murawwat ko kuchal dete hain aalat
aasar to kuchh kuchh nazar aate hain ki aaKHir
tadbir ko taqdir ke shatir ne kiya mat
mai-KHana ki buniyaad mein aaya hai tazalzul
baiThe hain isi fikr mein piran-e-KHarabaat
chehron pe jo surKHi nazar aati hai sar-e-sham
ya ghaza hai ya saghar o mina ki karamat
tu qadir o 'adil hai magar tere jahan mein
hain talKH bahut banda-e-mazdur ke auqat
kab Dubega sarmaya-parasti ka safina
duniya hai teri muntazir-e-roz-e-mukafat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.