lenin-grad ka goristan
sard siloñ par
zard siloñ par
taaza garm lahū kī sūrat
guldastoñ ke chhīñTe haiñ
katbe sab be-nām haiñ lekin
har ik phuul pe naam likhā hai
ġhāfil sone vaale kā
yaad meñ rone vaale kā
apne farz se fāriġh ho kar
apne lahū kī taan ke chādar
saare beTe ḳhvāb meñ haiñ
apne ġhamoñ kā haar piro kar
ammāñ akelī jaag rahī hai
sard silon par
zard silon par
taza garm lahu ki surat
guldaston ke chhinTe hain
katbe sab be-nam hain lekin
har ek phul pe nam likha hai
ghafil sone wale ka
yaad mein rone wale ka
apne farz se farigh ho kar
apne lahu ki tan ke chadar
sare beTe KHwab mein hain
apne ghamon ka haar piro kar
amman akeli jag rahi hai
- Book : Nuskha Hai Wafa (Kulliyat-e-Faiz) (Pg. 551)
- Publication : Educational Publishing House (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.