mere kapḌoñ meñ Tañgā hai
terā ḳhush-rañg libās!
ghar pe dhotā huuñ har baar use aur sukhā ke phir se
apne hāthoñ se use istrī kartā huuñ magar
istrī karne se jaatī nahīñ shikneñ us kī
aur dhone se gile-shikvoñ ke chikte nahīñ miTte!
zindagī kis qadar āsāñ hotī
rishte gar hote libās
aur badal lete qamīzoñ kī tarah!
mere kapDon mein Tanga hai
tera KHush-rang libas!
ghar pe dhota hun har bar use aur sukha ke phir se
apne hathon se use istri karta hun magar
istri karne se jati nahin shiknen us ki
aur dhone se gile-shikwon ke chikte nahin miTte!
zindagi kis qadar aasan hoti
rishte gar hote libas
aur badal lete qamizon ki tarah!
- Book : Yaar Julahe (Pg. 58)
- Author : Gulzar
- Publication : Vaniprakashan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.