lipstick
us kī har baat
har ishāre
har kinā.e ko maiñ āsānī se
samajh letā thā
lekin pata nahīñ kyuuñ us ne
mere likhe hue purāne ḳhutūt meñ
so.e hue be-qusūr lafzoñ ko
apnī laal rañg kī lipstick se
harā karne kī koshish kī hai
kyuuñ
us ki har baat
har ishaare
har kinae ko main aasani se
samajh leta tha
lekin pata nahin kyun us ne
mere likhe hue purane KHutut mein
soe hue be-qusur lafzon ko
apni lal rang ki lipstick se
hara karne ki koshish ki hai
kyun
- Book : Shahdaba (Pg. 54)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.