lisani laDki
mujhe
ek laḌkī ne
ek qadīm zabān meñ
tahrīr kiyā hai
bahut pechīda hai ye zabān
koī bhī
merī baat kī tashrīh nahīñ kar paatā
na.ī zabāneñ sīkhne ke junūn meñ
vo laḌkī bhī
aurat kī qadīm zabān bhuul chukī hai
ab maiñ
ek shor ke sivā
kuchh bhī nahīñ huuñ
mujhe
ek laDki ne
ek qadim zaban mein
tahrir kiya hai
bahut pechida hai ye zaban
koi bhi
meri baat ki tashrih nahin kar pata
nai zabanen sikhne ke junun mein
wo laDki bhi
aurat ki qadim zaban bhul chuki hai
ab main
ek shor ke siwa
kuchh bhi nahin hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.