log kahte hain
log kahte haiñ ki parbat se nikal kar chashme
kisī khoī manzil kī taraf bahte haiñ
aur sar-e-shām havā un ke liye chaltī hai
jin ke mahbūb bahut duur kahīñ rahte haiñ
koī paiġhām nahīñ jis kī tavaqqo.a ho mujhe
kis liye gosh-bar-āvāz huuñ ma.alūm nahīñ
jo kabhī dil meñ tamannā thī vo āġhosh meñ hai
ab kidhar mā.il-e-parvāz huuñ ma.alūm nahīñ
nahīñ ma.alūm ki us ġham kī haqīqat kyā hai
ashk ban kar mirī āñkhoñ se bahā jaatā hai
lab pe aatā nahīñ vo jazb-e-betāb magar
giit banñe ke liye dil meñ rahā jaatā hai
log kahte hain ki parbat se nikal kar chashme
kisi khoi manzil ki taraf bahte hain
aur sar-e-sham hawa un ke liye chalti hai
jin ke mahbub bahut dur kahin rahte hain
koi paigham nahin jis ki tawaqqoa ho mujhe
kis liye gosh-bar-awaz hun malum nahin
jo kabhi dil mein tamanna thi wo aaghosh mein hai
ab kidhar mail-e-parwaz hun malum nahin
nahin malum ki us gham ki haqiqat kya hai
ashk ban kar meri aankhon se baha jata hai
lab pe aata nahin wo jazb-e-betab magar
git banne ke liye dil mein raha jata hai
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 180)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.