Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

loop

MORE BYYasir Khan Inam

    vaqt kyā hai kisī shai ke hone se le kar na hone talak vo daurāniya hai

    jis meñ vo apne hone na hone ehsās bhī

    go kisī shakl meñ ho karātī rahe

    umr kyā hai faqat chand zarrāt

    ek muddat talak ek shakl meñ

    ek duuje se lipTe hue vaqt ko kāTnā

    umr insān sau baras kuchh ziyāda huī

    umr sattar arab saal bhī

    ik sitāre kuchh bhī nahīñ

    jism kyā hai

    vahī chand zarrāt ek shakl

    jaise maiñ

    jaise

    vaqt ik loop hai

    jis meñ zarrāt gardish meñ haiñ

    jaise maiñ aur ek insānī shakl

    ain mumkin hai kuchh sau arab saal baad

    kuchh mire jism ke kuchh tire jism ke chand zarrāt mil kar koī shakl leñ

    ab maiñ ḳhush huuñ ki kuchh sau arab saal baad

    apne milne koī to imkān hai

    waqt kya hai kisi shai ke hone se le kar na hone talak ka wo dauraniya hai

    jis mein wo apne hone na hone ka ehsas bhi

    go kisi shakl mein ho karaati rahe

    umr kya hai faqat chand zarraat ka

    ek muddat talak ek hi shakl mein

    ek duje se lipTe hue waqt ko kaTna

    umr insan ki sau baras kuchh ziyaada hui

    umr sattar arab sal bhi

    ek sitare ka kuchh bhi nahin

    jism kya hai

    wahi chand zarraat ki ek shakl

    jaise main

    jaise tu

    waqt ek loop hai

    jis mein zarraat gardish mein hain

    jaise main aur tu ek insani shakl

    ain mumkin hai kuchh sau arab sal baad

    kuchh mere jism ke kuchh tere jism ke chand zarraat mil kar koi shakl len

    ab main KHush hun ki kuchh sau arab sal baad

    apne milne ka koi to imkan hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now