lori
ai mire nūr-e-nazar laḳht-e-jigar jān-e-sukūñ
niiñd aanā tujhe dushvār nahīñ hai so jā
aaise bad-baḳht zamāne meñ hazāroñ hoñge
jin ko lorī bhī mayassar nahīñ aatī hogī
merī lorī se tirī bhuuk nahīñ miT saktī
maiñ ne maanā ki tujhe bhuuk satātī hogī
lekin ai merī umīdoñ ke hasīñ tāj-mahal
maiñ tirī bhuuk ko lorī hī sunā saktī huuñ
terā rah rah ke ye ronā nahīñ dekhā jaatā
ab tujhe duudh nahīñ ḳhuun pilā saktī huuñ
bhuuk to terā muqaddar hai ġharībī kī qasam
bhuuk kī aag meñ jal jal ke ye ronā kaisā
tū to aadī hai isī tarah se so jaane kā
bhuuk kī god meñ phir aaj na sonā kaisā
aaj kī raat faqat tū hī nahīñ terī tarah
aur kitne haiñ jinheñ bhuuk lagī hai beTe
roTiyāñ band haiñ sarmā.e ke tah-ḳhānoñ meñ
bhuuk is mulk ke khetoñ meñ ugī hai beTe
log kahte haiñ ki is mulk ke ġhaddāroñ ne
sirf mahñgā.ī baḌhāne ko chhupāyā hai anaaj
aaise nādār bhī is mulk meñ so jaate haiñ
hal chalā.e haiñ jinhoñ ne nahīñ paayā hai anaaj
tū hī is mulk meñ nādār nahīñ hai so jā
ai mire nūr-e-nazar laḳht-e-jigar jān-e-sukūñ
niiñd aanā tujhe dushvār nahīñ hai so jā
ai mere nur-e-nazar laKHt-e-jigar jaan-e-sukun
nind aana tujhe dushwar nahin hai so ja
aaise bad-baKHt zamane mein hazaron honge
jin ko lori bhi mayassar nahin aati hogi
meri lori se teri bhuk nahin miT sakti
main ne mana ki tujhe bhuk satati hogi
lekin ai meri umidon ke hasin taj-mahal
main teri bhuk ko lori hi suna sakti hun
tera rah rah ke ye rona nahin dekha jata
ab tujhe dudh nahin KHun pila sakti hun
bhuk to tera muqaddar hai gharibi ki qasam
bhuk ki aag mein jal jal ke ye rona kaisa
tu to aadi hai isi tarah se so jaane ka
bhuk ki god mein phir aaj na sona kaisa
aaj ki raat faqat tu hi nahin teri tarah
aur kitne hain jinhen bhuk lagi hai beTe
roTiyan band hain sarmae ke tah-KHanon mein
bhuk is mulk ke kheton mein ugi hai beTe
log kahte hain ki is mulk ke ghaddaron ne
sirf mahngai baDhane ko chhupaya hai anaj
aaise nadar bhi is mulk mein so jate hain
hal chalae hain jinhon ne nahin paya hai anaj
tu hi is mulk mein nadar nahin hai so ja
ai mere nur-e-nazar laKHt-e-jigar jaan-e-sukun
nind aana tujhe dushwar nahin hai so ja
- Book : Dhoop Ka Dareecha (Pg. 132)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.