lori-numa
Interesting Fact
Children's Magazine 'Hilal', Rampur, June 2011
daadā daadā bole baabū daadā daadā bole
kānoñ meñ ras ghole baabū kānoñ meñ ras ghole
daadā daadā bole baabū daadā daadā bole
taatā thayyā chalnā sīkhe sīkhe taatā taatā thayyā
taatā thayyā taatā thayyā ḳhush haiñ aapī bhayyā
ḳhush haiñ aapī bhayyā baabū so le ab to so le
so le ab to so le
daadā daadā bole baabū daadā daadā bole
jo bhī sāmāñ haath meñ aa.e muñh meñ rakh kar chūse
chhin jaa.e ye sāmāñ to vo ro.e-dho.e rūThe
ammī abbū aapī ko jab dekhe to ḳhush ho le
dekhe to ḳhush ho le
daadā daadā bole baabū daadā daadā bole
dada dada bole babu dada dada bole
kanon mein ras ghole babu kanon mein ras ghole
dada dada bole babu dada dada bole
tata thayya chalna sikhe sikhe tata tata thayya
tata thayya tata thayya KHush hain aapi bhayya
KHush hain aapi bhayya babu so le ab to so le
so le ab to so le
dada dada bole babu dada dada bole
jo bhi saman hath mein aae munh mein rakh kar chuse
chhin jae ye saman to wo roe-dhoe ruThe
ammi abbu aapi ko jab dekhe to KHush ho le
dekhe to KHush ho le
dada dada bole babu dada dada bole
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.