Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHwab

khule pāniyoñ meñ ghirī laḌkiyāñ

narm lahroñ ke chhīñTe uḌātī huī

bāt-be-bāt hañstī huī

apne ḳhvāboñ ke shahzādoñ tazkira kar rahī thiiñ

jo ḳhāmosh thiiñ

un āñkhoñ meñ bhī muskurāhaT tahrīr thī

un ke hoñToñ ko bhī an-kahe ḳhvāb zā.iqa chūmtā thaa!

aane vaale na.e mausamoñ ke sabhī pairahan nīlmīñ ho chuke the!

duur sāhil pe baiThī huī ek nannhī bachchī

hamārī hañsī aur maujoñ ke āhañg se be-ḳhabar

ret se ek nanhā gharauñdā banāne meñ masrūf thī

aur maiñ sochtī thī

ḳhudā-yā! ye ham laḌkiyāñ

kachchī umroñ se ḳhvāb kyuuñ dekhnā chāhtī haiñ

ḳhvāb hukmarānī meñ kitnā tasalsul rahā hai!

khule paniyon mein ghiri laDkiyan

narm lahron ke chhinTe uDati hui

baat-be-baat hansti hui

apne KHwabon ke shahzadon ka tazkira kar rahi thin

jo KHamosh thin

un ki aankhon mein bhi muskurahaT ki tahrir thi

un ke honTon ko bhi an-kahe KHwab ka zaiqa chumta tha!

aane wale nae mausamon ke sabhi pairahan nilmin ho chuke the!

dur sahil pe baiThi hui ek nannhi si bachchi

hamari hansi aur maujon ke aahang se be-KHabar

ret se ek nanha gharaunda banane mein masruf thi

aur main sochti thi

KHuda-ya! ye hum laDkiyan

kachchi umron se hi KHwab kyun dekhna chahti hain

KHwab ki hukmarani mein kitna tasalsul raha hai!

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now