Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

lowe

MORE BYSidra Sahar Imran

    pāgal laḌkī

    dīvāroñ ko gāliyāñ detī hai

    aur thuuk detī hai

    aa.ine par

    havā taraf pheñktī hai apne gulābī juute

    aur band hone vaalī āñkhoñ par

    pher detī hai nīl-polish

    por pe safety pin lagātī hai

    aur

    surḳh lipstick se milā kar dekhtī hai

    bārīk dhaar ḳhūnī rañgat

    tumhārā zehnī tavāzun bigaḌ chukā hai?

    tum uñgliyoñ ke bajā.e

    keyboard chabāne vaalī laḌkī se mohabbat karte ho

    jo khāñstī hai to

    us ke halaq se girne lagte haiñ

    s

    i

    d

    r

    aur

    a ke pichke hue letters

    vo keyboard uThā kar pheñktī hai

    paanī se bhare hue tub meñ

    aur paanī surḳh ho jaatā hai

    vahshī laḌkī baal nochtī hai

    aur

    buland-o-bāñg qahqahe lagātī hai

    tum ro paḌte ho

    vo aur zor se hañstī hai

    aur hañstī chalī jaatī hai

    pagal laDki

    diwaron ko galiyan deti hai

    aur thuk deti hai

    aaine par

    hawa ki taraf phenkti hai apne gulabi jute

    aur band hone wali aankhon par

    pher deti hai nil-polish

    por pe safety pin lagati hai

    aur

    surKH lipstick se mila kar dekhti hai

    barik si dhaar ki KHuni rangat

    tumhaara zehni tawazun bigaD chuka hai?

    tum ungliyon ke bajae

    keyboard chabane wali laDki se mohabbat karte ho

    jo khansti hai to

    us ke halaq se girne lagte hain

    s

    i

    d

    r

    aur

    a ke pichke hue letters

    wo keyboard uTha kar phenkti hai

    pani se bhare hue tub mein

    aur pani surKH ho jata hai

    wahshi laDki baal nochti hai

    aur

    buland-o-bang qahqahe lagati hai

    tum ro paDte ho

    wo aur zor se hansti hai

    aur hansti hi chali jati hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now