luDhakta patthar
raushnī Duub ga.ī chāñd ne muñh Dhāñp liyā
ab koī raah dikhā.ī nahīñ detī mujh ko
mere ehsās meñ kohrām machā hai lekin
koī āvāz sunā.ī nahīñ detī mujh ko
raat ke haath ne kirnoñ kā galā ghūñT diyā
jaise ho jaa.e zamīñ-bos shivāla koī
ye ghaTā-Top añdherā ye ghanā sannāTā
ab koī giit hai baaqī na ujālā koī
jis ne chhup-chhup ke jalāyā mirī ummīdoñ ko
vo sulagtī huī ThanDak mire ghar tak pahuñchī
dekhte dekhte sailāb-e-havas phail gayā
mauj-e-pāyāb ubhar kar mire sar tak pahuñchī
mire tārīk gharauñde ko udāsī de kar
muskurāte haiñ darīchoñ meñ ishāre kyā kyā
uf ye ummīd kā madfan ye mohabbat kā mazār
is meñ dekhe haiñ tabāhī ke nazāre kyā kyā
jis ne ā.ankhoñ meñ sitāre se kabhī ghole the
aaj ehsās pe kājal sā bikherā us ne
jis ne ḳhud aa ke TaTolā thā mire siine ko
le liyā ġhair ke pahlū meñ baserā us ne
vo talavvun ki nahīñ jis kā Thikāna koī
us ke andāz-e-kuhan aaj na.e taur ke haiñ
vahī bebāk ishāre vahī bhaḌke hue giit
kal mire haath bike aaj kisī aur ke haiñ
vo mahaktā sā chahaktā sā ubaltā siina
us kī mī.ād hai do roz lipaTne ke liye
zulf bikhrī huī bikhrī to nahīñ rah saktī
phailtā hai koī saaya to simaTne ke liye
raushni Dub gai chand ne munh Dhanp liya
ab koi rah dikhai nahin deti mujh ko
mere ehsas mein kohram macha hai lekin
koi aawaz sunai nahin deti mujh ko
raat ke hath ne kirnon ka gala ghunT diya
jaise ho jae zamin-bos shiwala koi
ye ghaTa-Top andhera ye ghana sannaTa
ab koi git hai baqi na ujala koi
jis ne chhup-chhup ke jalaya meri ummidon ko
wo sulagti hui ThanDak mere ghar tak pahunchi
dekhte dekhte sailab-e-hawas phail gaya
mauj-e-payab ubhar kar mere sar tak pahunchi
mere tarik gharaunde ko udasi de kar
muskuraate hain darichon mein ishaare kya kya
uf ye ummid ka madfan ye mohabbat ka mazar
is mein dekhe hain tabahi ke nazare kya kya
jis ne aaankhon mein sitare se kabhi ghole the
aaj ehsas pe kajal sa bikhera us ne
jis ne KHud aa ke TaTola tha mere sine ko
le liya ghair ke pahlu mein basera us ne
wo talawwun ki nahin jis ka Thikana koi
us ke andaz-e-kuhan aaj nae taur ke hain
wahi bebak ishaare wahi bhaDke hue git
kal mere hath bike aaj kisi aur ke hain
wo mahakta sa chahakta sa ubalta sina
us ki miad hai do roz lipaTne ke liye
zulf bikhri hui bikhri to nahin rah sakti
phailta hai koi saya to simaTne ke liye
- Book : kalam-e-qateel shifai (Pg. 60)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.