luka chhupi
kabhī merī masrūfiyat
to kabhī tere paañv kī moch
kabhī chyūñTī kī tarah reñgtā traffic
kabhī nikhaTTū zamāne kī soch
kabhī samay kā aḌiyal-pan
to kabhī mauqe kī nazākat
kabhī maiñ nahīñ
tū kabhī nadārat
bas ho gayā
chalo ḳhvāboñ meñ milte haiñ
niiñd ko bhī to apnā farz nibhāne do
kabhi meri masrufiyat
to kabhi tere panw ki moch
kabhi chyunTi ki tarah rengta traffic
kabhi nikhaTTu zamane ki soch
kabhi samay ka aDiyal-pan
to kabhi mauqe ki nazakat
kabhi main nahin
tu kabhi nadarat
bas ho gaya
chalo KHwabon mein milte hain
nind ko bhi to apna farz nibhane do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.