ma-baad jadid
maiñ ne apne likhne paḌhne ke kamre meñ
qalam binā ik nazm likhī hai
nazm ko maiñ ne
kuchh aise tartīb diyā hai
sab se pahle Tuk Tuk kartī
ek ghaḌī hai
phir hai calendar
is ke ba.ad hai
pītal kī ik sham.a-dānī aish-tray
phir beijing shaam aur singapore kī
chīnī aur tāñbe kī plaTeñ
phir thoḌī sī jagah banā ke
shīshe kā gul-dān rakhā hai
us se aage
musavvirī aur theTar par
do tiin kitābeñ
vahīñ pe tirchhī kar ke rakhī
qulqul kartī ek surāhī
sab ke biich meñ nanhā sā
ik joker bhī hai
ye merī vo pahlī nazm hai
jis meñ koī lafz nahīñ hai
bas paikar haiñ
merī pahlī nazm hai
jo qaarī aur sāme.a
donoñ se āzād huī hai
āñkhoñ kī hamrāz huī hai
main ne apne likhne paDhne ke kamre mein
qalam bina ek nazm likhi hai
nazm ko main ne
kuchh aise tartib diya hai
sab se pahle Tuk Tuk karti
ek ghaDi hai
phir hai calendar
is ke baad hai
pital ki ek shama-dani aish-tray
phir beijing sham aur singapore ki
chini aur tanbe ki plaTen
phir thoDi si jagah bana ke
shishe ka gul-dan rakha hai
us se aage
musawwiri aur theTar par
do tin kitaben
wahin pe tirchhi kar ke rakhi
qulqul karti ek surahi
sab ke bich mein nanha sa
ek joker bhi hai
ye meri wo pahli nazm hai
jis mein koi lafz nahin hai
bas paikar hain
meri pahli nazm hai
jo qari aur samea
donon se aazad hui hai
aankhon ki hamraaz hui hai
- Book : Sang-ge-Sada (Pg. 161)
- Author : Zubair Razvi
- Publication : Zehne Jadid, New Delhi (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.