ma-siwa
use mahsūs kartā huuñ
nasīm-e-sub.h ke jhoñkoñ meñ
sar sar ke thapeḌoñ meñ
amāvas ke añdheroñ meñ
mah-e-kāmil ke shab-afroz ujāloñ meñ
use mahsūs kartā huuñ
papīhe kī pukāroñ meñ
thirakte mor kī dilkash adāoñ meñ
kisī bechain bulbul ke tarannum meñ
kabhī nau-ḳhez kaliyoñ ke tabassum meñ
kabhī aisā bhī hotā hai
use mahsūs kartā huuñ
ba-zāhir ḳhāmushī meñ ġharq vaadī
ke takallum meñ
use mahsus karta hun
nasim-e-subh ke jhonkon mein
sar sar ke thapeDon mein
amawas ke andheron mein
mah-e-kaamil ke shab-afroz ujalon mein
use mahsus karta hun
papihe ki pukaron mein
thirakte mor ki dilkash adaon mein
kisi bechain bulbul ke tarannum mein
kabhi nau-KHez kaliyon ke tabassum mein
kabhi aisa bhi hota hai
use mahsus karta hun
ba-zahir KHamushi mein gharq wadi
ke takallum mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.