madar-e-fitrat
apnī āġhosh meñ le mādar-e-fitrat mujh ko
hai tire sāya-e-dāmāñ kī zarūrat mujh ko
mere jazbāt haiñ majrūh mirā dil hai figār
ġham-e-daurāñ kī tapish phūñk rahī hai dil-e-zār
merī maañ aaj to siine se lagā le mujh ko
apne āñchal meñ zarā der chhupā le mujh ko
zindagī kyā mujhe de be-sar-o-sāmāñ ḳhud hai
chārāgar kyā ho mirī lā.eq-e-darmāñ ḳhud hai
us ne jo kuchh bhī diyā us kā baḌā ehsāñ hai
dil magar tū ne jo baḳhshā hai baḌā nādāñ hai
dil ko kyoñ shīshe kī mānind banāyā tū ne
kyoñ na phir sang-e-havādis se bachāyā tū ne
zauq-e-parvāz to baḳhshā na par-o-bāl diye
sher ke sāñche meñ kyoñ qalb-o-nazar Dhaal diye
soz-e-ġham kuchh to kare kam ye havā se kah de
aaj to khul ke baras jaa.e havā se kah de
giit gā kar mujhe bahlā.eñ ye murġhān-e-chaman
phuul hañs hañs ke kareñ duur ye kāñToñ kī chubhan
kah nasīm-e-saharī se mirī hamrāz bane
mirī monis mirī hamdam mirī dam-sāz bane
kah de shabnam se mirī ruuh ko sairāb kare
ravish-e-gul se ye kah dil mirā shādāb kare
haram-o-dair kā haa.il na ye parda dekhūñ
tere ā.īne meñ ma.abūd kā jalva dekhūñ
apni aaghosh mein le madar-e-fitrat mujh ko
hai tere saya-e-daman ki zarurat mujh ko
mere jazbaat hain majruh mera dil hai figar
gham-e-dauran ki tapish phunk rahi hai dil-e-zar
meri man aaj to sine se laga le mujh ko
apne aanchal mein zara der chhupa le mujh ko
zindagi kya mujhe de be-sar-o-saman KHud hai
chaaragar kya ho meri laeq-e-darman KHud hai
us ne jo kuchh bhi diya us ka baDa ehsan hai
dil magar tu ne jo baKHsha hai baDa nadan hai
dil ko kyon shishe ki manind banaya tu ne
kyon na phir sang-e-hawadis se bachaya tu ne
zauq-e-parwaz to baKHsha na par-o-baal diye
sher ke sanche mein kyon qalb-o-nazar Dhaal diye
soz-e-gham kuchh to kare kam ye hawa se kah de
aaj to khul ke baras jae hawa se kah de
git ga kar mujhe bahlaen ye murghan-e-chaman
phul hans hans ke karen dur ye kanTon ki chubhan
kah nasim-e-sahari se meri hamraaz bane
meri monis meri hamdam meri dam-saz bane
kah de shabnam se meri ruh ko sairab kare
rawish-e-gul se ye kah dil mera shadab kare
haram-o-dair ka hail na ye parda dekhun
tere aaine mein mabud ka jalwa dekhun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.