mader-e-watan ka nauha
mere badan par baiThe hue gidh
mere gosht kī boTī boTī noch rahe haiñ
merī āñkheñ mere hasīñ ḳhvāboñ ke nasheman
merī zabāñ motī jaise alfāz kā darpan
mere baazū ḳhvāboñ kī ta.abīr ke zāmin
merā dil jis meñ har nā-mumkin bhī mumkin
merī ruuh ye saarā manzar dekh rahī hai
soch rahī hai
kyā ye saarā khel-tamāsha
(ḳhūñ-ḳhvāroñ ke dastar-ḳhvān pe merā lāsha)
lazzat-e-kām-o-dahan ke liye thā
mere badan par baiThe hue gidh
mere gosht ki boTi boTi noch rahe hain
meri aankhen mere hasin KHwabon ke nasheman
meri zaban moti jaise alfaz ka darpan
mere bazu KHwabon ki tabir ke zamin
mera dil jis mein har na-mumkin bhi mumkin
meri ruh ye sara manzar dekh rahi hai
soch rahi hai
kya ye sara khel-tamasha
(KHun-KHwaron ke dastar-KHwan pe mera lasha)
lazzat-e-kaam-o-dahan ke liye tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.