mah-e-kaamil
ek māh-e-kāmil hai merā
is kā.enāt meñ
jis kī raushnī meñ
jagmagātā hai merā aks
munavvar haiñ merī rāheñ
nuur us kā hai pur-sukūn
vo tajallī hai rāh-e-hayāt kī
us kī narm-o-nāzuk shuāoñ se
kū-e-dil meñ ujālā hai
mere māh-e-kāmil ko
mere maulā
mahfūz rakhnā
ek mah-e-kaamil hai mera
is kaenat mein
jis ki raushni mein
jagmagata hai mera aks
munawwar hain meri rahen
nur us ka hai pur-sukun
wo tajalli hai rah-e-hayat ki
us ki narm-o-nazuk shuaon se
ku-e-dil mein ujala hai
mere mah-e-kaamil ko
mere maula
mahfuz rakhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.