mah-e-munir
ḳhalāoñ ke andhe musāfir se pūchheñ
vo ik zarra-e-ḳhāk se TuuT kar duur lā-intihā vus.atoñ aur
be-samt rāhoñ kī pur-haul ḳhāmoshiyoñ meñ
bhaTaktā phirā thā
havāoñ ke rahvār par barq-raftār sadiyāñ guzartī rahīñ
us kī rāhoñ meñ pal bhar ko aahaT na aa.ī
zamīñ ātishīñ goyā chaugāñ ḳhalā meñ luḌhaktī huī
yuuñ hī be-mudda.ā raqs kartī huī
batn-e-ḳhurshīd se aag ke surḳh dhabbe kī sūrat nikal kar
ḳhalā ke añdhere samundar meñ Duubī
phir āhista āhista tārīk hone lagī thī ki andhā musāfir
uchhal kar kisī samt-e-be-nām ko chal dayā thā
phir ab tak alag un ke mehvar alag un kī rāheñ
zamīñ bhī añdherī
musāfir bhī be-nūr
lekin use kyā patā thā ki ik din zamīñ
saarī gahrā.iyāñ paaT kar aa milegī
to aflāk ke andhe rah-rau se pūchheñ
ki ye lamha-e-vasl kah
tujh ko kaisā lagā hai
KHalaon ke andhe musafir se puchhen
wo ek zarra-e-KHak se TuT kar dur la-intiha wusaton aur
be-samt rahon ki pur-haul KHamoshiyon mein
bhaTakta phira tha
hawaon ke rahwar par barq-raftar sadiyan guzarti rahin
us ki rahon mein pal bhar ko aahaT na aai
zamin aatishin goya chaugan KHala mein luDhakti hui
yun hi be-muddaa raqs karti hui
batn-e-KHurshid se aag ke surKH dhabbe ki surat nikal kar
KHala ke andhere samundar mein Dubi
phir aahista aahista tarik hone lagi thi ki andha musafir
uchhal kar kisi samt-e-be-nam ko chal daya tha
phir ab tak alag un ke mehwar alag un ki rahen
zamin bhi andheri
musafir bhi be-nur
lekin use kya pata tha ki ek din zamin
sari gahraiyan paT kar aa milegi
to aflak ke andhe rah-rau se puchhen
ki ye lamha-e-wasl kah
tujh ko kaisa laga hai
- Book : Ganj e Sokhta (Pg. 78)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.