mah-e-tamam
na jaane kyuuñ
mujhe aksar gumān hotā hai
mah-e-tamām faqat dekhtā nahīñ hai hameñ
vo jabr-o-qaid-e-musalsal pe ik mashaqqat kī
hazāroñ saal se is be-karāñ masāfat kī
bisāt-e-vaqt kī
ik dāstāñ sunātā hai
samajh sakeñ to
bahut kuchh hameñ batātā hai
na jaane kyun
mujhe aksar guman hota hai
mah-e-tamam faqat dekhta nahin hai hamein
wo jabr-o-qaid-e-musalsal pe ek mashaqqat ki
hazaron sal se is be-karan masafat ki
bisat-e-waqt ki
ek dastan sunata hai
samajh saken to
bahut kuchh hamein batata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.