mahaul
tabī.at jabriya taskīn se ghabrā.ī jaatī hai
hañsūñ kaise hañsī kam-baḳht tū murjhā.ī jaatī hai
bahut chamkā rahā huuñ ḳhāl-o-ḳhat ko sa.ī-e-rañgīñ se
magar pazhmurdagī sī ḳhāl-o-ḳhat par chhā.ī jaatī hai
umīdoñ kī tajallī ḳhuub barsī shīsha-e-dil par
magar jo gard thī tah meñ vo ab tak paa.ī jaatī hai
javānī chheḌtī hai laakh ḳhvābīda tamannā ko
tamannā hai ki us ko niiñd hī sī aa.ī jaatī hai
mohabbat kī nigūñ-sārī se dil Duubā sā rahtā hai
mohabbat dil kī izmehlāl se sharmā.ī jaatī hai
fazā kā sog utrā aa rahā hai zarf-e-hastī meñ
nigāh-e-shauq rūh-e-ārzū kajlā.ī jaatī hai
ye rañg-e-mai nahīñ saaqī jhalak hai ḳhūñ-shuda dil kī
jo ik dhundlī sī surḳhī añkhḌiyoñ meñ paa.ī jaatī hai
mire mutrib na de lillāh mujh ko dāvat-e-naġhma
kahīñ sāz-e-ġhulāmī par ġhazal bhī gaa.ī jaatī hai
tabiat jabriya taskin se ghabrai jati hai
hansun kaise hansi kam-baKHt tu murjhai jati hai
bahut chamka raha hun KHal-o-KHat ko sai-e-rangin se
magar pazhmurdagi si KHal-o-KHat par chhai jati hai
umidon ki tajalli KHub barsi shisha-e-dil par
magar jo gard thi tah mein wo ab tak pai jati hai
jawani chheDti hai lakh KHwabida tamanna ko
tamanna hai ki us ko nind hi si aai jati hai
mohabbat ki nigun-sari se dil Duba sa rahta hai
mohabbat dil ki izmehlal se sharmai jati hai
faza ka sog utra aa raha hai zarf-e-hasti mein
nigah-e-shauq ruh-e-arzu kajlai jati hai
ye rang-e-mai nahin saqi jhalak hai KHun-shuda dil ki
jo ek dhundli si surKHi ankhDiyon mein pai jati hai
mere mutrib na de lillah mujh ko dawat-e-naghma
kahin saz-e-ghulami par ghazal bhi gai jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.