malan
ik jā rahī hai mālan phūloñ kā haar le kar
gulshan kā husn le kar dil kā qarār le kar
josh-e-numū kā aalam ruḳhsār mehr-e-tābāñ
māthe pe surḳh Tiikā mānind-e-sub.h-e-ḳhandāñ
kānoñ ke zard bunde raqsāñ the is adā se
parbat kī jaise titlī mauj-e-havā se khele
pairoñ meñ Daale chhāgal hāthoñ meñ pahne joshan
bikhrī thiiñ aisī zulfeñ bal khaa.e jaise nāgan
āñkhoñ meñ husn-e-mastī ik kaif-e-ḳhud-numā.ī
qadmoñ meñ shān-e-laġhzish goyā koī sharābī
mauj-e-nashāt-e-rangīñ nāzuk adā meñ pinhāñ
nuz.hat hayā kī larzāñ kāfir shabāb-e-nāzāñ
sarshār thā zamāna mad.hosh thī ḳhudā.ī
kaisā lihāz-e-taqvā kyā zikr-e-pārsā.ī
maddham suroñ meñ fitrat kuchh gungunā rahī thī
nāz-o-adā kī devī bansī bajā rahī thī
hasrat bharī nazar se maiñ us ko tak rahā thā
saarī fazā pe qabza husn-o-jamāl kā thā
ek ja rahi hai malan phulon ka haar le kar
gulshan ka husn le kar dil ka qarar le kar
josh-e-numu ka aalam ruKHsar mehr-e-taban
mathe pe surKH Tika manind-e-subh-e-KHandan
kanon ke zard bunde raqsan the is ada se
parbat ki jaise titli mauj-e-hawa se khele
pairon mein Dale chhagal hathon mein pahne joshan
bikhri thin aisi zulfen bal khae jaise nagan
aankhon mein husn-e-masti ek kaif-e-KHud-numai
qadmon mein shan-e-laghzish goya koi sharabi
mauj-e-nashat-e-rangin nazuk ada mein pinhan
nuzhat haya ki larzan kafir shabab-e-nazan
sarshaar tha zamana madhosh thi KHudai
kaisa lihaz-e-taqwa kya zikr-e-parsai
maddham suron mein fitrat kuchh gunguna rahi thi
naz-o-ada ki dewi bansi baja rahi thi
hasrat bhari nazar se main us ko tak raha tha
sari faza pe qabza husn-o-jamal ka tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.