malum karo
kyā uglā moḌ visāl kā hai
kyā uglā hukm dhamāl kā hai
ma.alūm karo
ma.alūm karo vo manzil chauthe kos pe hai
jis manzil par inkār-e-darūn-e-zāt-e-alam
ehsās-e-bad duur ho jā.egā
aur paara paara jazboñ kī yakjā.ī se
iqrār amar ho jā.egā
jab umroñ ke taḳhmīnoñ se
kuchh qadmoñ par
ik bhiiḌ lagegī sāñsoñ kī
un sāñsoñ kī
jo chhan chhan kar ke girtī haiñ
betāb samay ke siine par
us siine par
jis siine meñ kuchh chāñdī hai kuchh sonā hai
un nasloñ kā
jo ham donoñ ke dhyān meñ haiñ
aur dast-e-shifā kī sūrat haiñ
kya ugla moD visal ka hai
kya ugla hukm dhamal ka hai
malum karo
malum karo wo manzil chauthe kos pe hai
jis manzil par inkar-e-darun-e-zat-e-alam
ehsas-e-bad dur ho jaega
aur para para jazbon ki yakjai se
iqrar amar ho jaega
jab umron ke taKHminon se
kuchh qadmon par
ek bhiD lagegi sanson ki
un sanson ki
jo chhan chhan kar ke girti hain
betab samay ke sine par
us sine par
jis sine mein kuchh chandi hai kuchh sona hai
un naslon ka
jo hum donon ke dhyan mein hain
aur dast-e-shifa ki surat hain
- Book : Quarterly Tasteer Lahore (Pg. 124)
- Author : Naseer Ahmed Nasir
- Publication : Roon No.1 1st Floor, Awan Palaza, Shadman Market (Vo.1 Issue2 Oct to Dec1997)
- Edition : Vo.1 Issue2 Oct to Dec1997
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.