malumat-e-najma
ḳharābī us ke pardoñ meñ nihāñ mālūm hotī hai
mirī hastī mujhī ko dāstāñ mālūm hotī hai
vafūr-e-josh-e-sajda kī na pūchho kār-farmā.ī
jabīn-e-shauq juzv-e-āstāñ mālūm hotī hai
qavī hotā hai jazb-e-justujū har nā-murādī se
ba-zāhir sa.ī-e-paiham rā.egāñ mālūm hotī hai
payām-e-dilbarī detī hai mujh ko kis lagāvaT se
adā-e-husn dil kī rāz-dāñ mālūm hotī hai
mirī turbat pe rakkhā haath kis rashk-e-masīhā ne
rag-e-sang-e-lahad nabz-e-tapāñ mālūm hotī hai
nihāñ haiñ husn kī ra.anā.iyāñ pahnā-e-ālam meñ
jabhī to aaj tak duniyā javāñ mālūm hotī hai
dimāġh apnā qadam rakhte hī pahūñchā arsh-e-a.alā par
zamīn-e-kū-e-jānāñ āsmāñ mālūm hotī hai
lagā rahtā hai dhaḌkā ranj-o-ġham kā aish-o-ishrat meñ
har ik rāhat jahāñ kī ġham-nishāñ mālūm hotī hai
mirā dard-e-nihāñ hai āshkārā merī sūrat se
ḳhamoshī bhī mirī 'najma' fuġhāñ mālūm hotī hai
KHarabi us ke pardon mein nihan malum hoti hai
meri hasti mujhi ko dastan malum hoti hai
wafur-e-josh-e-sajda ki na puchho kar-farmai
jabin-e-shauq juzw-e-astan malum hoti hai
qawi hota hai jazb-e-justuju har na-muradi se
ba-zahir sai-e-paiham raegan malum hoti hai
payam-e-dilbari deti hai mujh ko kis lagawaT se
ada-e-husn dil ki raaz-dan malum hoti hai
meri turbat pe rakkha hath kis rashk-e-masiha ne
rag-e-sang-e-lahad nabz-e-tapan malum hoti hai
nihan hain husn ki ranaiyan pahna-e-alam mein
jabhi to aaj tak duniya jawan malum hoti hai
dimagh apna qadam rakhte hi pahuncha arsh-e-ala par
zamin-e-ku-e-jaanan aasman malum hoti hai
laga rahta hai dhaDka ranj-o-gham ka aish-o-ishrat mein
har ek rahat jahan ki gham-nishan malum hoti hai
mera dard-e-nihan hai aashkara meri surat se
KHamoshi bhi meri 'najma' fughan malum hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.