mamul
shaam chhat se ghar meñ utrī
raat ban kar ek ik kamre meñ phailī
vaqt ko apnī kalā.ī se utārā
aur Table par sajā kar
maiñ ne āzādī kā lambā saañs khīñchā
yaad aur ḳhvāboñ kī parvāreñ sambhālīñ
kashti-e-ehsās ko bārīk aur bad-rañg lahroñ meñ utārā
sub.h tak is kashti-e-ehsās par
kar ke le ā.ūñgā sūraj ko savār
aur phir merī kalā.ī
vaqt kī pāband ho kar
shaam tak anjām degī
kār-hā-e-nāgavār
sham chhat se ghar mein utri
raat ban kar ek ek kamre mein phaili
waqt ko apni kalai se utara
aur Table par saja kar
main ne aazadi ka lamba sans khincha
yaad aur KHwabon ki parwaren sambhaalin
kashti-e-ehsas ko barik aur bad-rang lahron mein utara
subh tak is kashti-e-ehsas par
kar ke le aaunga suraj ko sawar
aur phir meri kalai
waqt ki paband ho kar
sham tak anjam degi
kar-ha-e-nagawar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.