mamul
maiñ bhī bādshāh kī hukūmat kā
munkir huuñ
lekin jiine kī aarzū meñ
roz us kī chaukhaT par
sūraj sā ubhartā huuñ
shaam sā Dūbtā huuñ
ghar meñ
elān-e-baġhāvat ke taur par
biivī bachchoñ ko mārtā huuñ
raat raat jāgtā huuñ
main bhi baadshah ki hukumat ka
munkir hun
lekin jine ki aarzu mein
roz us ki chaukhaT par
suraj sa ubharta hun
sham sa Dubta hun
ghar mein
elan-e-baghawat ke taur par
biwi bachchon ko marta hun
raat raat jagta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.