āvāragardī karnā sub.h o shaam
dhīñgā-mushtī, dushnām
har roz yahī hai kaam
na chain hai na ārām
bāzār kī bhiiḌ haTātī apnī kuhnī se
baazū se pakaḌ kar
jaise apne bigḌe ziddī bachche ko
fahmā.ish kartī
ghar vāpas le jaatī hai maañ
yūñhī ham ko bhī maut aa kar
is duniyā se le jaatī hai
bechain hamārī rūhoñ ko detī hai amaañ
shor-o-shar se duur ek makāñ
aawaragardi karna subh o sham
dhinga-mushti, dushnam
har roz yahi hai kaam
na chain hai na aaram
bazar ki bhiD haTati apni kuhni se
bazu se pakaD kar
jaise apne bigDe ziddi bachche ko
fahmaish karti
ghar wapas le jati hai man
yunhi hum ko bhi maut aa kar
is duniya se le jati hai
bechain hamari ruhon ko deti hai aman
shor-o-shar se dur ek makan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.