aziim maañ
tū ne apne beToñ ko
bevgī kī siyāh chādar meñ raushnī kā sabaq paḌhāyā
aziim maañ
tū ne dukh uThā.e ki tere beTe javān hoñge
to umr bhar kī masāfatoñ kā ḳhirāj lūñgī
tamām hisse virāsatoñ ke
tamām lamhe mohabbatoñ ke
tamām aañsū masarratoñ ke
javān hoñge to apne beToñ meñ baañT dūñgī
aziim maañ tere saare beTe javāñ hue haiñ
to ab ye palkoñ pe āñso.oñ kī sabīl kaisī
ufuq ke us paar ḳhālī āñkhoñ ke jaal phailā.e
ab tū kis shai kī muntazir hai
azim man
tu ne apne beTon ko
bewgi ki siyah chadar mein raushni ka sabaq paDhaya
azim man
tu ne dukh uThae ki tere beTe jawan honge
to umr bhar ki masafaton ka KHiraj lungi
tamam hisse wirasaton ke
tamam lamhe mohabbaton ke
tamam aansu masarraton ke
jawan honge to apne beTon mein banT dungi
azim man tere sare beTe jawan hue hain
to ab ye palkon pe aansoon ki sabil kaisi
ufuq ke us par KHali aankhon ke jal phailae
ab tu kis shai ki muntazir hai
- Book : جنہیں راستے میں خبر ہوئی (Pg. 161)
- Author : سلیم کوثر
- Publication : فضلی بکس ٹیمپل روڈ،اردو بازار، کراچی
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.