man
vo kaun hai jo udaas rātoñ kī chāñdnī haiñ
ka.ī duā.eñ laboñ pe le kar
malūl ho kar
bhulā ke saarī thakān din kī
ye sochtī hai
ki maiñ na jaane hazār mīloñ pare jo baiThā huuñ
kis tarah huuñ
vo kaun hai jo udaas rātoñ ke rat-jage meñ
duāoñ kī mish.aleñ jalāne khaḌī huī hai
duā.eñ jis kī mire liye haiñ
maiñ un duāoñ ke zer-e-sāya
zamīn se āsmān kī jānib yuuñ mahv-e-parvāz huuñ ki jaise
bashar-gazīda ḳhudā se milne ko jā rahā ho
phir ek lamhe ko mere andar se itnī āvāzeñ gūñjtī haiñ
maiñ in se barsoñ se āshnā huuñ
ye haath jo ki buland ho kar laraz rahe haiñ
ye haath mere liye tahaffuz kā isti.āra
ye haath mere liye jahāñ kī
hazār ḳhushbū se bālā-tar haiñ
yahī to haiñ vo jinhoñ ne mujh ko
qadam uThānā qadam baḌhānā sikhā diyā hai
wo kaun hai jo udas raaton ki chandni hain
kai duaen labon pe le kar
malul ho kar
bhula ke sari thakan din ki
ye sochti hai
ki main na jaane hazar milon pare jo baiTha hun
kis tarah hun
wo kaun hai jo udas raaton ke rat-jage mein
duaon ki mishalen jalane khaDi hui hai
duaen jis ki mere liye hain
main un duaon ke zer-e-saya
zamin se aasman ki jaanib yun mahw-e-parwaz hun ki jaise
bashar-gazida KHuda se milne ko ja raha ho
phir ek lamhe ko mere andar se itni aawazen gunjti hain
main in se barson se aashna hun
ye hath jo ki buland ho kar laraz rahe hain
ye hath mere liye tahaffuz ka istiara
ye hath mere liye jahan ki
hazar KHushbu se baala-tar hain
yahi to hain wo jinhon ne mujh ko
qadam uThana qadam baDhana sikha diya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.