man
bholā-bhālā us kā chehrā
us ke sar mamtā kā sahrā
us kī āñkheñ pyaar kī chhāgal
hoñT us ke chamkār se komal
ham jo hañseñ vo khil jaatī hai
us ko duniyā mil jaatī hai
ro.eñ ham to ro detī hai
apnā har sukh kho detī hai
merī zarā uñglī dukhtī hai
choT us ke dil par lagtī hai
apne dil meñ jhāñk ke dekho
būjho to vo kaun hai bachcho
nanhe munne kī jo amiiñ hai
maañ ke sivā koī bhī nahīñ hai
bhola-bhaala us ka chehra
us ke sar mamta ka sahra
us ki aankhen pyar ki chhagal
honT us ke chamkar se komal
hum jo hansen wo khil jati hai
us ko duniya mil jati hai
roen hum to ro deti hai
apna har sukh kho deti hai
meri zara ungli dukhti hai
choT us ke dil par lagti hai
apne dil mein jhank ke dekho
bujho to wo kaun hai bachcho
nanhe munne ki jo amin hai
man ke siwa koi bhi nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.