man
chāhatoñ kā dariyā maañ
aur ḳhud hai tishna maañ
zer-e-pā tire jannat
azmatoñ kī duniyā maañ
zahmatoñ kī nagrī meñ
rahmatoñ kā saayā maañ
dukh ke saḳht jangal meñ
sukh kā narm gosha maañ
ḳhār-zār bastī meñ
phuul kā do-shāla maañ
talḳhiyoñ ke mausam meñ
pyaar kā batāshā maañ
hai dulā.ī sapnoñ kī
niiñd kā bichhaunā maañ
hai kitāb shafqat kī
harf hai duā kā maañ
titliyoñ kā bachpan hai
phuul sā hai chehrā maañ
chup hai saare dukh sah kar
sabr kā namūna maañ
baḳhsh de ḳhatā merī
maiñ huuñ terā beTā maañ
yaad aa gayā bachpan
merā ruuTh jaanā maañ
aur phir mohabbat se
vo tirā manānā maañ
maañ 'nazīr' maañ hai bas
achchhī aur burī kyā maañ
chahaton ka dariya man
aur KHud hai tishna man
zer-e-pa tere jannat
azmaton ki duniya man
zahmaton ki nagri mein
rahmaton ka saya man
dukh ke saKHt jangal mein
sukh ka narm gosha man
KHar-zar basti mein
phul ka do-shaala man
talKHiyon ke mausam mein
pyar ka batasha man
hai dulai sapnon ki
nind ka bichhauna man
hai kitab shafqat ki
harf hai dua ka man
titliyon ka bachpan hai
phul sa hai chehra man
chup hai sare dukh sah kar
sabr ka namuna man
baKHsh de KHata meri
main hun tera beTa man
yaad aa gaya bachpan
mera ruTh jaana man
aur phir mohabbat se
wo tera manana man
man 'nazir' man hai bas
achchhi aur buri kya man
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.