man
do lahreñ saath rahtī huī
jab kabhī milne ko hotī haiñ
to lagtā hai maañ ke hoñTh kuchh kahnā chāhte haiñ
nadī kabhī sotī nahīñ hai
muḌtī ThiThaktī
bhaTaktī aur Takrātī
a-virām
bahtī rahtī hai nadī
sadiyoñ tak
bahut huā to ūñghtī haiñ
us kī lahreñ
udāsī meñ kabhī-kabhī
paanī kī partoñ ke biich gūñjtā hai sannāTā
kuchh TūTtā hai kahīñ mañjhdār meñ
apnī ismirtī ke āñchal meñ dukhoñ ko chhupā.e
bahut nīche atul meñ sisaktī
phir bhī bahtī rahī chaTTānoñ se Takrātī
nadī kī tarah maañ bhī
jāgtī rahtī hai hamārī āñkhoñ meñ
sapnoñ ke liye sapnā ho jaane tak
do lahren sath rahti hui
jab kabhi milne ko hoti hain
to lagta hai man ke honTh kuchh kahna chahte hain
nadi kabhi soti nahin hai
muDti ThiThakti
bhaTakti aur Takraati
a-wiram
bahti rahti hai nadi
sadiyon tak
bahut hua to unghti hain
us ki lahren
udasi mein kabhi-kabhi
pani ki parton ke bich gunjta hai sannaTa
kuchh TuTta hai kahin manjhdar mein
apni ismirti ke aanchal mein dukhon ko chhupae
bahut niche atul mein sisakti
phir bhi bahti rahi chaTTanon se Takraati
nadi ki tarah man bhi
jagti rahti hai hamari aankhon mein
sapnon ke liye sapna ho jaane tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.